|
Apna ek dost jo boys hostel mein rehta tha, uske paas hostel mein ek kamra bhi tha. Main aksar uske us kamre ko istemaal bhi karta
tha. Kabhi kabhi hum dost log bhi uske kamre mein jaakar party kiya karte the. Main apne us videshi gore dost se khula hua tha. Isi
karan usne muje apne kamre ki chaabi di huayee thi. Jisme maine na jaane kitne shikaar kiye the.
Ek baar mujhe apni wo girl friend mili, jisse mera bahaut pehle breakup ho chuka tha. Ab wo shaadishuda thi aur mujhse milna chahti thi, mujhe bhi koi aitraaj nahi tha. Hum dono ke beech pehle kabhi, koi sharirik sambandh nahi hua tha. Kyunki hum dono ek doosre ko bahaut pyar karte the. Uski shaadi bhi mere hi shahr mein huyee thi. Aur mujhe pata tha ki, wo mujhse kyun milna chahti hai. Hum dono aksar phone per baate karte the, aur jab ek din uska pati shahr se bahar gaya hua tha. To, usne mujhse milne ki ichha jahir ki, lekin usne pehle hi keh diya ki, uske paas sirf 3 ghante honage. Ab main wo 3 ganto uske saath bitana chahta tha. Mere dil mein uske liye kabhi koi galat baat ya kamukta nahi thi. Maine use Apne us videshi dost ke kamre mein le jaane ko kaha, to usne mana kar diya. Uske mana karne per maine usse pooch hi liya, kya aaj tumhe mujh per vishwaas nahi hai? mere is prashn se wo saham gayee aur bina kuch bole mujhse boli ki, jahaan tum le jana chaho wo tayaar hai. Ab ek nischit sthan per hum dono samyanusaar mile. Main use dekhte hi dang reh gaya. Aaj uska gadraya hua shareer, gahre hare rang ka kurta, laal salwaar aur laal chunni ne use aur aakrishit bana diya tha. Uska gora rang aur uske badan ki khushbu madhosh karne wali thi. Wo apni car mein aaye, aur hum dono pehli baar aaj gale mile. Main uski car mein baith gaya aur ab uski gaadi boys hostel ki aur mere videshi dost ke room ki aur chal di. Kuch hi der mein hum dono boys hostel ke kamre mein the. Kamre mein pahauchte hi usne mujhe gale laga liya aur uski aankho mein aansu aa gaye. Maine uske aansuo ko pee liya, aur uski zindagi mein uska hamesha saath nibhaane ka vada kiya. Wo I love You keh kar mere gale se chipak gayee. Uska gale lagna mere ander koi kamukta paida nahi kar raha tha. Mere dil mein aaj bhi uske liye wahi purana pyar tha. Aur wo pyar ek sharirik nahi ek aatmik (spiritual) tha. Hum dono ek doosre ki baho mein ghanto baithe baate karte rahe. Usne mujhe rijhaane ki bahaut koshish ki, lekin shayad wo mere us pyar ko nahi samajh paa rahi thi. Ek ghanta beeta, do ghante beete hum dono ne ek doosre ko kiss bhi kiya lekin aaj mujhe uske saath koi utejena nahi huayee. Usne bahaut koshish ki, ki hum dono aage badh jaye lekin maine aaj use mana kar diya. Samay bhi kam tha to, maine use ab chalne ko kaha. Wo becharri bhi chalne ko tayaar ho gayee. Jaane se pehle usne mujhe gale lagaya aur chooma, phir yeh keh kar ki, main uske layak nahi hoon jaane lagi. Maine use roka aur kaha ki maine use dil se pyar kiya hai, naa ki uske shareer se. Aur yahi wo mera saccha pyar tha jo kaam vaasna se door tha. Lekin shayad wo nahi samajh payee aur chali gayee. Uske baad maine bhi peeche mudhkar kabhi nahi dekha.
|