Wo suhaavne din ...
Dosto! yeh ek pyar bhari mere jeevan ki ek sacchi daastaan hai, jisne mujhe ek aisa shaksh diya, jiske liyea main kuch bhi karne ko tayaar tha. Jo mere dil ki gehrayoon tak gaye, jiske liyea main kisi aur ki teraf bhi nahi dekhta tha. Hum dono ki tuning itni acchi the, ki agar ek ko koi bhi problem hooti thi, to doosre ko pata chal jata tha. Yeh hum dono ki ek telepathy thi. Hum dono ne ek doosre ko bahaut pyar kiya, lekin kismat ne shayad mera hi saath nahi diya.

Baat us samay ki hai, jab maine apne ek dost ke saath, partnership mein ek business shuru kiya. Yeh baat 2004 ki hai. Shaam ke samay mere paas kaafi samay hota tha, to main net per surfing ya chatting karta rehta tha. Usi dauraan, ek baar mera ek aisee ladki se connection hua, jo widhva thi, mujh se 5 saal chooti thi, aur ek 2 saal ke bacche ki maa bhi thi.

Ab hum dono ne phone per baat karni shuru ki, ek din usne mujh se poocha, ki agar mujhe uske baare mein maloom hain, maine kaha haan, ki wo ek widhwa hai, aur ek bacche ki maa hai. Poochane per ki kya mujhe koi aitraaz to nahi, maine kaha en sab baatoin se mujhe koi faraq nahi padta. Kyunki yeh sab tumne jaan-boojh kar nahi kiya, yeh to apne aap hua hai, phir is baat ki saja, ki tum widhwa ho, tumhe kyun mile. Yeah baat use itni acchi lagi, ki uske dil mein mere liyea aur izzat badh gaye. Aur ab hum dono phone per ghanto lambi baatein karne lage.

Kaafi samay beeth gaya, ek din usne mujhse kaha ki woh mujh se pyar karne lagi hai (Jabki main use apni photograph dikha chuka tha, lekin usne abhi tak apni photo nahi dikhayee thi). Uske itna kehne se maine kaha ki mujhe usse baat karna accha lagta hai, aur mere dil main uske liyea bahaut gejah hai, lekin main pyar nahi karta. Uske zid karne per ki mujhe bhi us se pyar hai, maine bol diya, haan I LOVE YOU TOO, lekin yeah words dil se nahi nikle the. Maine usse kaha, jis din mujhe usse pyar hooga, main apne aap aur us awaaz main, us feel ke saath keh doonga. Aur woh mere dil se nikli huayee awaaz hogee.

Hum dono ke baat karne ka silsila chalta raha, ek din raat ko jab humdono baat kar rahe the, uska betaa aaya, aur use tang karne laga. Usne mujhe se kaha ki yea bahaut tang kar raha hai, woh chahti hai ki woh so jaye, kyunki use kal subeh school jana hai. Maine usse kaha ki use phone de, uske phone dete hi maine bacche ki awaaz main us se baat karni shuru ki aur phir dheere dheere bacche ko kuch kaha, aur 2 minute ke ander wo baccha so gaya. Us ne mujhse poocha, ki maine aisa kya jaadu kiya? Maine kaha ki mujhe baccho se bahaut pyar hai, aur yeh hum dono (bacche aur mere) ke beech ki baat hai. Aur ab humari baat phone per phir se shuru ho gayee.

Ek raat phir us bacche ne khoob shor machana shuru kiya, to mere kehne per usne bacche ko phone de diya. Mere hello kehte hi us bacche ne jo kaha (PAPA AAP KAB AAYOGAE?), usne mujhe hila diya, aur main 10 din tak so nahi saka, wo shabd mere kaanoo main goonjte rahe. Aur wahi se mujhe us ladki se pyar ho gaya.

Ab hum dono phone per rooj baat karte, mujhe kuch hoota, usse pehle use pata lag jata tha, aur use kuch hoota to, mujhe pata lag jata tha. Hum dono ab pyar main the. Main uske liyea kuch bhi karne ko tayaar tha. Phir ek din main uske shahr gaya, usse mila, woh sach main bahaut hi khoobsurat thi.

Woh mere hotel room main apne bacche ke saath aaye, maine uske bacche ko goad main liya, uske saath masti ki, aur use ek bada sa teddi diya aur woh us ke saath mast ho gaya. Wo mere kareeb baithi thi, humdono ek doosre ka haath thaame bacche ko dekh rahe the. Usne muje gale lagaya, mujhe bahaut accha laga. Hum dono ek doosre ka haath pakre kaafi samay tak hotel room main baat karte rahe. Pyar kya hoota hai, shayad us din mujhe pata laga, ki jab aap kisi ko sacche dil se pyar karo, uske kareeb aur choo lene se ekdum uttejit na ho, wahi ek saccha pyar tha.

Aaj humdono alag hai, kyunki wo meri zindagi main nahi aa saki, uski kuch majbooriyaan thi, main samajh sakta hoon. Lekin main aaj bhi uske bete ke kahe shabd nahi bhool sakta. Humara yeh pyar ek saccha pyar tha, jisme koi kaam vaasna nahi thi, hum dono phone per ghanto baat karte the, ye silsila kareeb dedh saal tak chala. Lekin aaj bhi main use bahaut yaad karta hoon.


Spicy Chapters...