Haan, wo honey-moon hi to tha ...
Kai dino chat karne ke baad ek din , akhirkaar, ham mile. Main us din bahut hi utsahit tha. Man mein sawaal uth rahe the ki wo kaisi hogi? Kya wo mujhe pasand karegi? Us din maine bahut acche kapde pahane aur smart ban ke us ki batayi jagah par pahuch gaya. wo kareeb 15 minutes late aayei ...

Sundar se ladki, salwar kameez mein, gori chitti , mere samne thi. Mein us ko dekh ke dang rah gaya. Mujhe yakeen nahi ho raha tha ki main us ke saath samay bitaunga. Mujhe lag raha tha ki use bhi mein pasand aa raha hoon. Shayad, us din main, us se milne ke khushi mein, kuch zayada hi excited tha aur bahut zada bol raha tha. Yakeenan, main thoda nervous bhi tha. Ham dono jis tarah se phone par ya phir chat par baat kiya karte the , waisa kuch nahi bol pa rahe the. Maine uske saath zindigi ke behad hi khoobsoorat do ghante betaye. Wapas ghar pahuchte hi usko phone kara, poocha ki wo bhi ghar pahuchi ki nahi aur phir usse mere bare mein pucha, ki usko main pasand aaya ki nahi. Us ki "haan" sun ke main aur bhi zayada confident ho gaya.

Ab ham rooz baat karte aur apni mulakaat ko baar baar yaad karte the. Main janta tha ki mujhe us se payar nahi hua par us ka saath aur us ke bare mein sochna bahut aacha lagta tha. Ek din, bato bato mein, maine us se pucha ki kabhi aisa mauka hua, to kya wo mere saath chuttiya bitane chalegi? Us ne bade pyaar se kaha ki, “haan kyoon nahi. Par main janti hoon ki aisa mauka kabhi nahi aayega.” Bas yeh sun kar main, man hi man, us moke ki talaash karne laga jab main us se aakele mein mil paaon aur use bata sakoon ki wo mujhe kitna attract karti hai.

Hamiri baton ka silsala younhi chalta raha aur ab ham done ghar se bahar, akale jane ki baat karte rahte the. Main janta nahi tha ki us ke saath kai din aur kai raat beetane ka mauka mujhe milega bhi ki nahi. Aur phir ek din us ne kaha ki us ne apne ghar walo ko convince kar diya hai ki wo apni sahaliyon ke saath shahar se bahar ja rahi hai. Bas, phir kya tha, mari to samjho lottery hi nikal gayi.

Main kaam ka bahana laga ke, aur wo, apni sahelion ke saath ghoomne ka bahana laga ke, 4 din aur 4 ratoon ke liye ek hill-staion par chale gaye. Hill station par pahuch ke ham logo ne ek achha sa room book kiya. Room mein apna samaan rakh kar maine use apne gale lagaya aur kaha ki main bahut hi besabri se is din ka intzaar kar raha tha. Meri is baat par usne bhi haami bhari. Wo kuwari thi aur thoda sahmi bhi hui thi. Maine use pyar kiya aur bharosaa dilaya.

Wo 4 din meri zindagi ke behad hi haseen din the. Ham dono 4 dino tak kamre se bahar nahi nikle. Hamne ek dusre ko bahut aur kai baar pyaar kiya. Yeh jante hue, ki aisa mauka dobaara nahi aayega, ham ne ek dusre ka saath pal bhar bhi nahi chora . Wo 4 din aur 4 raten ham dono nav-vivahit shadi-shuda jode ki tarah rahe. Wo joda, jo bahut dino se milne ke liye tadap raha tha....

Akhir wo din bhi aaya jab hame apne ghar wapas jaana tha. Jate-jate main waiter ko, jis ne hamara bahut saath diya tha, 100 rupay dete hue bola – “aap ka bahut bahut dhnayawaad”. Es par waiter bola, sir main honey moon couple se 200 rupay se kam nahi leta. Uski yeh baat sun ke main muskura pada....aur use 200 rupay de diye.

Haan, wo Honey-moon hi to tha....


Spicy Chapters...