Mera Pehla Pyar ...
Dosto! main jab chabbis saal ka hua aur meri naukri ek IT company main lagi, to mujhe raat ki shift mili (9 se subeh 6 baje tak). Humari company main internet free tha, aur mere ek saathi ne ek din mujhe bataya ki hum yahan se baithe hue duniya ke kisi bhi koone main kisi se baat (aaj jise hum chat kehte hain) kar sakte hain. Mujhe internet per chatting karne ka bahaut shouk hua aur maine raat ko chatting karni shuru kar di.

Mera shouk itna badh gaya ki main raat ko (apne office main) lagbhag chaar se paanch ghante chatting karta tha, aur is se mera dhyan sirf kaam aur chatting per hi rehta tha. Mujhe aaj bhi yaad hai, jab company main mujhe ek bahaut bade chatter ki upadhi di gayee, iske saath sabse jayda output dene ka bhi samman mila.

Ab mere internet per itne international dost (khaskar USA) ban chuke the, ki main unse rooj chat karta tha. Aur unko mujhse chat karna pasand tha. Hum ek doosre ki sanskriti ke baare main, vicharoo ke baare main, rahan-sahan ke baare main baat karte the. Jo ek achaa aadan-pradan tha. Mujhe shayad bhartiyoon se baat karna pasand nahi tha, kyunki kai baar jab maine bhartiyoon se baat ki, ya to unhone gandi galiyaan di, ya beech main hi chod kar chale gaye. Jabki woh gore
hamesha batakar bye kehkar jaate the.

Is chatting ne mujhe apna itna bada ghulaam bana diya ki ab main shanivaar aur ravivaar ko cyber cafe main jana shuru karr diya aur ab mein wahaan do-teen ghante tak chat karta tha. Ek din jab main din main chat kar raha tha ki achanak kisi ka mujhe chat invitation aaya, aur maine jab usse uska ASL poochaa, to uska jawaab aaya 22-f-delhi, usne jab mujhse poocha to maine bhi use bata diya. Usne mujhse internet dost ban-ne ko kaha, maine haami bhar di. Ab hum dono ne shanivaar aur ravivaar ko ek nischit samay per chat karna aur ek doosre ko pachaan-na shuru kar diya. Hum dono ko is terah do mahine beet gaye, to ek din usne phone per baat karne ki baat kahee (us samay hum logo ke paas mobile phone nahi the), too maine use apna landline number de diya, aur ab humdono ka phone per baat karne ka silsila shuru ho gaya. Do mahine baad usne apne ghar per mujhse milne ka irada jataya, to mujhe bada hi achambha hua, lekin maine haan keh diya.

Jab main uske ghar pahuchaa, main use dekhta hi reh gaya, woh itni sundar thi ki main apne aap per yakeen nahi kar paa raha tha. Mujhe dekhkar usne mujhe soofe per baithaiya, aur mere liyea paani laane chali gayee. Thodi der main woh mere liyea paani lekar aayee aur mere paas baith gayee. Kuch baatein usne mujhse chupayee thi, jaise- woh shaadishuda hai, 2 bacchoo ki maa hai ityadi.., aisa kuch nahi tha, woh kisi doosre shahr se ek choota sa course karne aayee thi.

Woh akeli rehti thi, uske maa baap kisi aur shahr main the. Mujhe dekhkar aur baat karke use bhi achaa kaga, aur jab main do teen ghante baad chalne laga, to usne mera haath pakad liya, aur kehne lagee 'Please aaj main tumhare saath samay bitana chahti hoon' maine bhi uske saath baithne ka mann bana liya.

Sham ke 5 baj chuke the, aur october ka mahina tha, usne mujhse drink peene ka poocha to maine haan main sur hila diya aur usne ek whisky ki bottle nikal kar 2 pegs bana diyea. Hum dono sharaab pe rahe the, aur baatein kar rahe the. Hum dono ne 2 hi pegs liyea hongae ki bijli chalee gayee, mauke ki nazakat dekhkar usne apna haath mere haath ke uper rakh diya aur dheere se mere kaan main kaha ki main use bahaut pasand hoon. Mujhe ajeeb lag raha tha, lekin sharab ke sarur se mujhe ek shakti di aur maine use apni bahoon main bhar liya.

Hum dono ab ek doosre ko bahoon main lekar, apne hotoon ko ek doosre ke hotoon per rakh kar, hotoon ka anand le rahe the. Us waqt hum dono apne aap ko itna kareeb samajh rahe the ki humein kuch nahi soojha aur usne apne kamre ka raasta dikha diya aur ab hum dono us bistar per ek doosre ke badan ko mehsoos kar rahe the. Uska bhi shayad yeah pehli baar tha, aur mera bhi. Kaafi mushkiloon ke baad jab hum dono 2 jism aur ek jaan hue, woh ehsaas shayad na bhoolne wala hai. Aur shayad maine apni zindagi mein pehli baar kisi ke saath itna achaa samay gujara tha.

Ek saal baad woh kisi aur shahr main chalee gayee, aur phir uske baad uska koi pata nahi tha.



Spicy Chapters...