Mera Ek Anokha Sapna ...
College ke dino mein, main Rashmi se bahut pyaar karta tha. Hamari mulakaat bhi kisi sapne se kam nahi thi. Ek common dost nein mujhe Rashmi se miliya tha. Mulakaat ka silsila chalta raha aur na-jane kab hame ek doosre se pyar ho gaya.

Rashmi, sapno se zada sundar, ek bahut hi haseen ladki thi. Chulbuli aur sab ka khayaal rakhne wali. Ham dono ek dusre se bahut zada pyar karte the. Maine Rashmi ko apne parivaar walo se bhi milaya aur meri umeed ke mutabik, Rashmi sabhi ko bahut pasand bhi aayi. Sabhi jante the ki ham jald hi shadi karenge. Rashmi ke saath shadi karne ke haseen sapne ko sakaar karna hi ab meri zindigi ka maksad ban gaya thi. Main Rashmi ko aachi zindagi dene ke liye, kaam mein doobta chala gaya.

Waqt guzarta gaya aur ham ek dusre ka saath dete rahe. Is doraan, ham aur bhi kareeb aaye. Rashmi har waqt ek patni ki tarh mera khayaal rakhti thi. Zindigi ek haseen sapne ki tarh guzar rahi thi. Mera Rashmi ke saath zindgi beetane ka sapna ab sach hota nazar aa raha tha. Par sapne to sapne hain, wo hamesha sach thodi na hote hain...

Rashmi ab shadi ki umar tak pahuch gahi thi. Us ko pa kar, mera dhyan sirf apne kaam par tha. Un dino main apne career ko khada karne mein intna mashroof ho gaya ki mujhe yeh pata hi nahi chala ki kab uske ghar wale us ke liye ladka dhoondne lage. Meri hasiyat itni nahi thi ki main Rashmi ke gharwalo se apne rishte ki baat kar sakon. Rashmi ne, apne rishte wali baat, mujhe kai baar batayi, par maine is baat ko bahut hi mamuli tareeke se liya. Maine, kahin na kahin dil mein, Rashmi ke saath rahne ka sapna sanjoe rakha. Har baar yeh kah kar, ki "sabar ka phal meetha hoga", main yeh baat taal jaata. Dil hi dil mein, main janta tha ki wo aisa kuch bhi nahi hone degi. Wo meri hai aur meri rahegi.

Aakhir aisa din bhi aaya, jab Rashmi ke liye ek bahut hi aacha rishta aaya. Us ke ghar wale bahut khush the aur unhone Rashmi ko rishta kabool karne ke liye dabav dala. Wo bechari kya karti, akhir, us ka dosh bhi kya tha. Na chahte hue bhi, us ne wo rishta kabool kar liya. Main yeh sun kar bahut niraash hua aur Rashmi se kuch samay manga- kuch saal, jab tak main apne pairon par khada ho jaon. Par Shayad, apne parivaar ke dabav mein, Rashmi mujhe yeh samay nahi de payi. Mere sapne ab choor-choor hone lage the. Kismat ko is baat ka dosh dete hue, maine zindgi ka yeh kadva ghoot bhi pee liya. Saal guzarte gaye, Rashmi ab apne sasuraal mein bahut khush hai. Meri bhi shaadi ho chuki hai. Is baat ko guzre hue ab 10 saal ho chuke hain.

Kai salon baad, na jane kyoon kal raat, maine ek bahut hi anokha sapna dekha. Sapne mein, apni patni ki jagh, Rashmi ko paya. Maine dekha ki, Rashmi meri har baat ka khayal usi tarah rakh rahi hai jaise wo kai saal pahle rakha karti thi. Wo mujhe aaj bhi chahati thi aur apni chaht ka izhhar bhi kar rahi thi. Rashmi ko apne patni ke jagah pa ke, main bhi zindigi se bahut khush tha. Wo sapna, sach mein hi bahut anokha tha.

Intne salon baad, mujhe aachanak us ki yaad kyoon sata rahi hai? Kya sach main yeh kismat ka hi dosh hai? Kya main apne zindgi se khush nahi hoon ya phir aaj tak main use bhool hi nahi paaya? Kya main kabhi bhi apne pahle sachhe pyar ko bhula bhi paoonga?


Spicy Chapters...