Spicy Chapters...

 
 
Ek Anokha Sapna jo Sach hua...
 
 
Shayad main apni zindagi me bhagyashaali rahi hoon. Jo socha tha, wo mil gaya, aur ab zindagi se koi gila shikva nahi hai. Lekin aise bahaut kum log hote hain jinke saath aisa hota hai. Jo spna mere man me tha, wo ek anokha sapna ab sach ho chuka tha, aur is sapne ka arth mere liyea, mere jeevan ki sabse badi khushi tha.

Main apne maa baap ki ek hi eklauti aulaad hoon. Jinse mujhe kabhi koi kami nahi huayee, aur maine unse jo manga wo mujhe mila. Mujhe apni zindagi mein unse kabhi koi shikayat bhi nahi rahi. Jo maanga, wo mila. Meri zindagi me aaj bhi wo mere aadarsh hain.

Mera paas ek kala kutta bhi tha, jo ab nahi hai aur jiska naam kaalu tha, kalu bahaut hi pyara tha aur jise main bahaut pyar karti thi. Mera kutta ghar walo ka bhi pyara aur mohalle walo ka dulara tha. Bahut hi samajhdaar seedha tha mera wo pyara kala kutta.

Jab main 17 saal ki huayee aur college me gayee, tabhi mere nazar ek aise ladke per, jo mujse ek saal senior tha, padhi. Wo ladka dekne me lamba chauda, sundar aur intelligent tha. Main shayad use dil hi dil mein chahne lagi thi. Apni ek saheli ke jariye maine us ladke se baat karni shuru ki, to pata chala uska naam Vishesh tha. Mujhe Vishesh accha lagta tha aur maine apne ghar walo se uska parichay bhi karwaya, jo unhe bhi pasand aaya. Vishesh Mumbai se padhne humaare shahr Dehradun aaya tha. Samay milne per hum dono kabhi kabhi mussoorie bhi chale jaate, aur khoob masti karte.

Ab hum dono dheere dheere ek doosre ke karreb aane lage, aur mere maa baap ko bhi is baat ki bhank lag gayee. Unhe shayad isse koi problem nahi thi kyunki unhe mujhper poora vishwaas tha. Mujhe apne ye sapne haseen lagne lage, aur dheere dheere mujhe apne ye sapne, bhi sach hoote nazar aane lage the. Aur ab main apni zindagi ke meethe meethe sapne bhi bunnne lagi thi.

Saal khatm hone per Vishesh apne ghar mumbai chuttiyo me ek mahine ke liye gaya, aur main apne aap ko bahaut akela mehsoos karne lagi. Main Vishesh ke hi sapno me khoi rehti aur uske aane ki raah dekhti rehti. Us samay mera pyara kutta kaalu mere paas hi rehta, shayad wo mere akelepan ke arth ko samajh chuka tha. Wo us samay hamesha mere hi paas rehta, Shayad Vishesh ki jegh is samay wo hi mere dukh dard ka saathi tha, Jo main bhi samajh chuki thi.

Ek din meri vishesh se phone per lambi baat huayee, aur us din main bahaut hi khush thi. Raat ko main vishesh ke sapno me khoi uske hi sapne lene ki koshish karne lagi. Aur phir us sapne me maine pehle ek saanp ko dekha, saap kala tha aur phir uske baad jaise wo mujhe kaatne ke liye mere peeche aa raha ho. Main darr kar bhag rahi thi aur saanp mere peeche tha. Kuch door jaane ke baad saap gayad ho gaya aur meri achank neend khul gayee. Mera gala sookh chuka tha, maine paani piya. Mera kutta kaalu mujhe dekh raha tha. Use dekhkar mujhe rahat ki saas mili aur main phir soone chali gayee.

Subeh uthi aur raat wale sapne per vichaar karne lagi, wo kya tha? Maine apni zindagi mein isse pehle sapne mein kabhi saap nahi dekha tha. Kya yeh koi dosh tha ya kuch aur? Maine apni maa ko apne sapne me aaye saap ke baare mein bataya, to unhone kaha ki, shayad tumhaare saath kuch accha hone wala hai. Main apni maa ki kahi baat ka arth nahi samajh payee, aur baat aayee gayee ho gayee.

College bhi shuru hoone wale the, aur mera ab college mein doosra saal tha. Vishesh bhi Mumbai se aane wala tha. Ek din achanak hi Vishesh apne maata pitaa ke saath mere ghar aa gaya, wo bina batayee aaye the. Hum sab log hairaan the. Hum logo ne unka aadar satkaar kiya. Isse pehle ki kuch baat shuru hooti, vishesh ke pitaa ji ne mera haath Vishesh ke liye maang liya. Hum sabhi log stabdh reh gaye, aisa laga jaise koi chamtkaar ho gaya ho.

Ye kya tha? mujhe kuch samajh nahi aa raha tha. Lekin man hi man main main bahaut khush thi. Mere maa baap ne haan kar di aur hum dono ki shaadi 3 saal baad ho gayee. Hum dono aaj bahaut khush hain. Vishesh mumbai me hi naukri karta hai. Lekin main aaj bhi jab apne us sapne ke baare mein sochti hoon, to wo mujhe koi dosh nahi us saap ka aashirwaad lagta hai. Jisne mera wo ek anokha sapna sach kar diya.